Koi dost aisa banaya jaye
Koi dost aisa banaya jaye,
Jiske aansoun ko palkon me chupaya jaye,
Rahe uska mera rishta kuch aisa,
Ki agar wo rahe udaas to humse bhi muskuraya na jaye…
Tumse doori ka ehsas satane lagaa
Tumse doori ka ehsas satane lagaa,
Tere saath guzara har lamha yaad aane laga,
Jab bhi tujhe bhulne ki koshish ki aye dost,
Tu dil ke aur bhi kareeb aane laga...
Saath agar doge muskrayenge zarur
Ha mera har lamha chura liya aapne
Ha mera har lamha chura liya aapne ,,
Aakho ko ek chand dekha deya aapne ,,
Hume zindagi de kisi aur ne ,,
Par pyaar itna dekar jeena sikhaya aap ne…
Kabhi lafaz bhol jaon kabhi bat bhol jaon
Tujhy is qadar chahon k apni zaat bhol jaon,
Uth k tere pas se jo main chal dun,
Jate howe khud ko tere pas bhool jaon ♥
Aarzu Tute Sitaro Mein Kaid
Shayari Dil Ka Dard Palko Mein Kaid Hai
Ehsas Uska Hawa Ke Isharo Mein Kaid Hai
Usko Bhulayein Bhi To Kaise
Jinko Paane Ki Aarzu Tute Sitaro Mein Kaid Hai...
Mere Dil Mein Shayari
Wo Mujh Par Ajeeb Asar Rakhta Hai
Mere Adhure Dil Ki Khabar Rakhta Hai
Shayad...
Main Use Bhool Jata
Magar Apne Pyar Ko Wo Mere Dil Mein Basaye Rakhta Hai...
Kahan Jayu Main Shayari
Khyalo Se Chhoo Lo To Chala Aayu Main
Dil Se Pukaro To Chala Aayu Main Maine
Apni Jaan Se Jyada Chaha Hai Tujhe
Tu Hi Khafa Ho Jaye To Bata Kahan Jayu Main...
Apna Samajh Kar Shayari
Dil Jab Bilkul Toot Jata Hai To Aapko
Yaad Karte Hain
Apna Samajh Kar Dil Ki Har Baat Karte Hain
Nadan Samajh Kar Maaf Kar Dena
Jo Anjane Mein Kabhi Aapko Pareshan Karte Hain...
Yaado Mein Teri Tanha
Yaado Mein Teri Tanha Baithe Hain
Tere Bina Labon Ki Hasi Gawa Baithe Hain
Teri Duniya Mein Andhera Na Ho
Isliye Khud Ka Dil Jala Baihte Hain...
Pyar Ki Nishani Shayari
Is Behte Dard Ko Mat Roko
Ye To Saza Hai Kisi Ke Intezaar Ki
Log Inhe Aansu Kahe Ya Deewangi
Par Ye To Nishani Hain Kisi Ke Pyar Ki...
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte
Aankhon me rahne walo ko yaad nahi karte,
Dil me rehne walo ki baat nahi karte,
Hamari to ruh me bus gaye hain aap,
Tabhi to hum milne ki fariyaad nahi karte
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho
Apni nazar me meri nigaah phir kyon dhoondhte ho..
Apni tanhai me meri kami kyon mehsoos karte ho..
Apne ahsaason me meri chhuuan kyon talashtey ho..
Apne lafzon se aksar yeh faasley kyon taye karte ho
Vo sochte honge usko aksar,
Vo sochte honge usko aksar,
jo hamein unke salaam de jaati hai,
vo kya jaane unhein choone waali hawa bhi,
hamein unke saare paigaam de jaai hai!