Khaali shishe bhi nishaan rakhte hain,
Tute hue dil bhi armaan rakhte hai...
Jo khaamoshi se guzar jaaye,
Woh dariyaa bhi dil me toofan rakhte hai.
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai
Kabhi kabhi ye dil jaroor rota hai,
jab koi apna mil kar nazron se door hota hai.
kyun roti hai kambakht yeh ankhe,
kyun ki dil se jayada inka hi kasoor hota hai
Dard se dosti ho gayi hai doston
Dard se dosti ho gayi hai doston,
Zindagi bedard ho gayi hai doston,
Kya hua jo jal gaya aashiyana humara,
Magar door tak roshni ho gayi hai doston
Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya
Ankho me aansuo ko ubhar ne na diya,
Mitti ke motiyo ko bikhar ne na diya,
Jis raah pe pade the tere kadamo ke nishan,
Us raah se kisi ko guzarne na diya..!
Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye
Taras jaoge tum mehfil-e-wafa ke liye,
Kisi se pyaar mat karna khuda ke liye,
Jab lagegi ishq ki adalat ek din,
Tum hi chune jaoge saza ke liye.
Zakham dene wale to is baat se anjan hai
Zakham dene wale to is baat se anjan hai,
Par unse mila hua dard hamare paas hai,
Chubhne par kitni taklif hoti hai,
Kya kaanch ke us tukde ko bhi iska ehsas hai.
Dil todna humari aadat nahi
Dil todna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi
Jab kisi ka dil toot jata hai to
Jab kisi ka dil toot jata hai to,
wo jism reh jaata hai,Rooh nikal jaati hai,
jaise murjhane ke baad phool to reh jaata hai,
Khushboo nikal jaati hai.
Bebas hai insaan apni kismat ke aage
Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Bagair kisi ko jaane ikarar na kijiye
Bagair kisi ko jaane ikarar na kijiye,
Muskarakar dil ko bekarar na kijiye,
Kabhi-kabhi gulab bhi de jaate hai zakham,
Har gulab par aithbaar na kijiye.