Zakham dene wale to is baat se anjan hai,
Par unse mila hua dard hamare paas hai,
Chubhne par kitni taklif hoti hai,
Kya kaanch ke us tukde ko bhi iska ehsas hai.
Dil todna humari aadat nahi
Dil todna humari aadat nahi
Dil hum kissi ka dukhate nahi
Bharosa rakhna meri wafaon pe
Dil mein bas kar hum kissi ko bhulate nahi
Jab kisi ka dil toot jata hai to
Jab kisi ka dil toot jata hai to,
wo jism reh jaata hai,Rooh nikal jaati hai,
jaise murjhane ke baad phool to reh jaata hai,
Khushboo nikal jaati hai.
Bebas hai insaan apni kismat ke aage
Bebas hai insaan apni kismat ke aage,
Bebas hai sapne haqiqat ke aage,
Koi ruki huwi dhadkan se puche ,
Kitna tadapta hai dil mohabbat ke aage.
Bagair kisi ko jaane ikarar na kijiye
Bagair kisi ko jaane ikarar na kijiye,
Muskarakar dil ko bekarar na kijiye,
Kabhi-kabhi gulab bhi de jaate hai zakham,
Har gulab par aithbaar na kijiye.
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
Humare zakhmo ki wajha bhi woh hai
Humare zakhmo ki dava bhi woh hai
Hoh namak zakhmo pe lagaye bhi to kya hua
Muhabbat karne ki wajah bhi to woh hai…
Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai
Ye hawa apki hansi ki khabar deti hai,
Mere Dil ko khusi se bhar deti hai,
khuda salamat rakhe apki hansi ko,
kyu ki apki Khusi hume zindgi deti hai…
Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya
Saza Pe Chhod Diya, Jahaa Pe Chhod Diya..
Her Ek Kam Ko hum Ne Khuda Pe Chhod Diya !!
Wo Hum Ko Yaad Rakhe Ya Phir Bhula De..
Usi Ka Kaam Tha, Us Ki Raza Pe Chhod Diya !!
Ab Us Ki Marzi Bhujha De, Ya Jala De..
Chirag Hum Ne Jala Ke Hawa Pe Chhod Diya !!
Aab Us Se Baat Kiye Bagair Kaise Rehenge Hum..
Ye Masla Dua Ka Tha So Dua Pe Chhod Diya !!
Is Liye To Wo Kehte Hain Dewana Hum Ko..
Ki Hum Ne Sara Zamana Wafa Pe Chhod Diya !!
Apni Agoosh Main Ek Roz Chupa Lo Mujhko
Apni Agoosh Main Ek Roz Chupa Lo Mujhko,
Ghum-E-Duniya Se Aaj Bachaa Lo Mujhko,
Unko De Hai Ishaaron Main Ijaazat Maine,
Maangne Se Na Milun To Chura Lo Mujhko
Ansuo’o sham ki palkon pe larzte rahna
Ansuo’o sham ki palkon pe larzte rahna
Doob jaye jo ye manzar to barste rahna
Uski adat wohi her baat adhuri karna Or
phir baat ka mafhum badalte rahna
Aag se seekh liya hai ye kareena humne
Bujh b jana to beri dair sulagtay rahna.