Chand ko maine asman ki gaod me sote dekha,
Chand ki bewafai se maine lakhon taron ko rote dekha,
Us pal ne to mujhe bhi rula diya,
Jab maine in aankhon se tujhe kisi aur ka hote dekha…!!!
Pyar Ke Liye Us Se Izazat Mangi
Pyar Ke Liye Us Se Izazat Mangi
Tute Dilne Bhi Uske Liye Dua Mangi
Jane Kya Baat Thi Us Bewafa Me Ki
Maine Aakhri Khwaish Me Bhi Us Se Milne Ki Dua Mangi…!!!
Zindagi hai nadan isliye chup hoon
Zindagi hai nadan isliye chup hoon,
Dard hi dard subah shaam isliye chup hoon,
Keh doon zamane se dastan apni,
Us mein aayega tera naam isliye chup hoon. !!
Yaad karne se kisi ka didar nhi hota,
Yaad karne se kisi ka didar nhi hota,
yuhi kisi ko yaad krna pyar nai hota,
yaado me kisi ki hum b tadapte hai,
bas hmse dard ka ijhar nahi hota..
Tujh Sa Koi Bad Naseeb Kya Hog
samir Tujh Sa Koi Bad Naseeb Kya Hog
Tamam Umer Wafa Ki Aur Bewafai Milli
Kay Tu Nay Khuwab To Dekhey They Sath Rehney Kay
Magar Naseeb Tha Aesa Kay Bus Judai Mili
BAna Kay Chour Diya Tujh Ko ishq Ka Qaidi
Yani Kay Jaan Gai Aur Phir Rihaai Mili.
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe
Aansu Mujhse Ye Sawaal Karte Hai
Kabhi Mere Aansu Mujhse Ye Sawaal Karte Hai
Aap Kyoun Kisi Ko Itna Yaad Karte Hai
Jinko Kadar Nahi He In Anmol Aansuon Ki
Unke Liye Kyoun Hamein Barbaad Karte Hai
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria
Jo udaas hain tere hijr mein jinhe bojh lagti hai zindgi
Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskrane ka shukria
Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhal gai
Teri yad ka muje yaad aane ka shukria,
Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasam tehri hai motabar muje bhool jane ka shukria.
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise
waqt aisi rawani main dhalta raha
waqt aisi rawani main dhalta raha
main be khabar aisy hi chalta raha
kabhi hansta tha apny naseebon pe main
kabhi ander hi ander main jalta raha
kahin shikwy mily kahin thokren milin
choot aisi lagi k sanbhalta raha
usko pany ki khatie to sab kuch kia
wohi sang dil tha rasta badalta raha