Ek Shaks Pas Reh Ke Samjha Nahi Mujhe
Is Baat Ka Malal Hai Shikwa Nahi Mujhe
Main Us Ko Bewafai Ka Ilzam Kaisay Dou
Us Ne To Ibteda Se Hi Chaha Nahi Mujhe
Pathar Samajh Kar Paon Se Thokr Laga Dia
Afsos Teri Aankh Ne Parkha Nahi Mujhe
Kya Umedein Baandh Kar Aaya Tha Samnay
Us Ne To Aankh Bahr Ke Dekha Nahi Mujhe
Aansu Mujhse Ye Sawaal Karte Hai
Kabhi Mere Aansu Mujhse Ye Sawaal Karte Hai
Aap Kyoun Kisi Ko Itna Yaad Karte Hai
Jinko Kadar Nahi He In Anmol Aansuon Ki
Unke Liye Kyoun Hamein Barbaad Karte Hai
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Yon rah-e-wafa ki saleeb par do qadam uthane ka shukria
Bara pur khatar tha yeh rasta tere laot jane ka shukria
Jo udaas hain tere hijr mein jinhe bojh lagti hai zindgi
Sar-e-bazam yon unhein dekh ke tere muskrane ka shukria
Teri yaad kis kis bhais mein mere sher-o-nagma main dhal gai
Teri yad ka muje yaad aane ka shukria,
Jo zamane bhar ka asool tha wo asool tu ne nibha dia
Yehi rasam tehri hai motabar muje bhool jane ka shukria.
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
yuun na mil mujh se Khafaa ho jaise
saath chal mauj-e-sabaa ho jaise
log yuun dekh kar hans dete hain
tuu mujhe bhool gayaa ho jaise
ishq ko shirk kii hadh tak na badhaa
yuun na mil hamse Khudaa ho jaise
maut bhii aaii to iss naaz ke saath
mujh pe ehasaan kiyaa ho jaise
aise anjaan bane baithe ho
tum ko kuchh bhii na pataa ho jaise
hichkiyaan raat ko aatii hii rahiin
tuu ne phir yaad kiyaa ho jaise
zindagii beet rahii hai
ek bejurm sazaa ho jaise
waqt aisi rawani main dhalta raha
waqt aisi rawani main dhalta raha
main be khabar aisy hi chalta raha
kabhi hansta tha apny naseebon pe main
kabhi ander hi ander main jalta raha
kahin shikwy mily kahin thokren milin
choot aisi lagi k sanbhalta raha
usko pany ki khatie to sab kuch kia
wohi sang dil tha rasta badalta raha
Dard Me Dard Ki TaLash Kab Tak
Dard Me Dard Ki TaLash Kab Tak?
Jo Nhi Aye Uska Intzar Kab Tak?
Khud Ke Yakin Par Ab To ShaQ Ho ChaLa Hai..
Ek Jhuthi Aas Par Ye Khawab Kab Tak..
Pyaar Kamjor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta
Pyaar Kamjor Dil Se Kiya Nahi Ja Sakta,
Zeher Dushman Se Liya Nahi Ja Sakta,
Dil Mein Basi Hai Ulfat Jis Pyar Ki
Us Ke Bina Jiya Nahi Ja Sakta.
Reet Hai Jane Kaisi Ye Zamane Ki
Reet Hai Jane Kaisi Ye Zamane Ki
Jo Saza Milti Hai Yahan Dil Lagane Ki
Na Basana Kisi Ko Dil Me Itna
K Fir Dua Mangni Pade Use Bhulane Ki
wafa karne walo ki kami nai hai
Is dunia me wafa karne walo ki kami nai hai
Bas pyar hi us se ho jata hai jo Bewafa hai. !!
Meri koi Khata to Sabit kar?
Meri koi Khata to Sabit kar?
Agar bura hun to bura Sabit kar?
Tera PYAR pane k liye kya kuch nai kiya
Mai bewafa hi sahi tu apni wafa to Sabit kar?