Me jo Bhatak gaya to Bat kya

Tuesday, May 15, 2012 · Posted in

Yu To Chand bhi Bhatakta hai Rat Bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya
Sari Duniya Roti hai Chup kar
Me jo thoda Ro liya to Bat Kya
Har Kisi Ko Talab hai Pyar Ki
Maine thoda Soch liya to Bat Kya
Roshni ki Chah to sab ko hai
Maine thoda Andhera mang liya to Bat kya
Zindagi k is Haseen Khwab me
Maine Use mang liya to Bat Kya
Har kisi ne Mehfil ko Chaha Yaha
Maine Tanhai ko Chaha to Bat kya
Yu to Chand bhi Bhatakta hai Rat bhar
Me jo Bhatak gaya to Bat kya

Kya dhoop mein baarish hoti hai

· Posted in

Jab mai ne us se poocha tha.
Kya dhoop mein baarish hoti hai.
Woh hanstay hanstay ronay lagi
Aor dhoop mein baarish honay lagi.
Nazuk c kali murjha c gayi
... Aur ro kr mujh se kehnay lagi.
Tum chorr na jana o sajan.
Dil torr na jana o sajan.
Tum kya jano
Dhoop ki baarish ko.
Tum kya jano
Hijr ki garmi ko...?? Jab tum door thay
mujhse o sajan..
Mere haath ki choorri aor kangan
Jab geet tumhare gaatay thay.
Mujhe yaad boht tum aatay thay..
Mai hanstay hanstay roti thi....!!
Aor dhoop mein baarish hoti