Aaj phir uski yaad ne rula diya,
kesha hain ye chera jisne ye sila diya,
do lafj likhne ka salika na tha,
uske pyar ne mujhe shayar bana diya.
humne dosti ki thi ek ajnabi ke sath
Deta raha fareb koi sadagi ke sath
itna bada mazak meri zindagi ke sath
shayad saza mili hai us jurm ki hume
humne dosti ki thi ek ajnabi ke sath..
Yaadon ne paas aakar kuch yun gunguna diya
yaadon ne paas aakar kuch yun gunguna diya
jaise kisi ne bhoola hua fasana suna diya
jane kya baat thi us guzre hue kal mey
ki dil roya lekin chehra muskura diya...
Aapko Bhul jana umar gujarne ki baat hai
Aapko Bhul jana umar gujarne ki baat hai
Aapko na ho yakin yeh aur baat hai
Jab tak rahegi saans rahoge yaad hame
Yeh saans hi toot jaye to aur baat hai..
kuch jalta hi rehta hai..
Bas ye khel dilon ka hai chalta hi rehta hai,
hazaro khushiyon ke pal aye zindgi me,
pr kyu tanhai ka vo pal khalta hi rehta hai
hum lakh hase duniya ke aage
par andar to kuch jalta hi rehta hai..
apni zindagi hi maar gyi..
Kuch unki wafa ne luta
Kuch unki inayat maar gayi,
Hum raz-e-mohobbat keh na sake,
Chup rehne ki aadat mar gyi..
Dil ne b bahut majbur kiya
Milne b lakho baar gya,
Ji bhar k unhe na dekh ska,
Aankho ki sharafat mar gai..!
Kuch aisi jung hui Husn-o-ishq ki ke,
Unka husn jeet gya or meri
mohabbbat har gai..
Jab wo chhod kar chali gyi to aisa laga,
Mout to maarti hai sabko lekin mujhe
to apni zindagi hi maar gyi..
Kuchh Aisa Mera Hasar Tha
Teri Bewafai Ka Kuchh Aisa Asar
Tha,
Meri Wafao Se Khuda Bhi
Bekhabar Tha,
Wo To Ho Gya Jo Wo Chahati Thi,
Mgar Afasos Yaaro Ho Wo Bhi Gya
Jiska Muzhe Darr Tha,
Aankho Se Neend Gyi Dil Ka Krar
Gya,
Zakham Bhi Nasoor Mile Dil Ko
Samjhana Bekar Gya,
Mar-Mar K Jiya H Harpal
Kuchh Aisa Mera Hasar Tha…
hath hum tham na sake
Apne pyar ko chhupana chaha par chupa na sake
diwane dil pe kaabu hum pa na sake
aaj itne karib se gujar gaye wo
phir bhi unka hath hum tham na sake
intezar aj bhi karta raha
uske izhar ka intezar aj bhi karta raha
wo mile ya na mile, usi pe marta raha
garaj gaye jo badal mere dil ke asman pe
usi badal se barish ka intezar aj bhi karta raha..!
TUFAN kya jane
Dil par kya guzri wo anjan kya jane. Dosti kise kahte hai wo nadan kya jane.
Hawa ke sath ud gaya Ghar ek Parinde ka.
Kaise bana tha Ghosla wo TUFAN kya jane. !!