कौन किसको दिल में जगह देता है,
पेड़ भी सूखे पत्ते गिरा देता है..
वाकिफ़ हैं हम दुनियाँ के रिवाज़ से,
साँस रुक जाए तो कोई अपना ही जला देता है.
Kal fir yehi sama hoga
Kal fir yehi sama hoga,
Hum mein se kaun na jane kahan hoga,
Murjhaye phool to mil jayenge kitabo mein,
Par bichhade dosto ka shayad hi koi pata hoga
jinke bina koi saans nahi aati
jinke bina koi saans nahi aati,
Kyun ye hawa unko apne sath nahi lati,
kahti hai bar bar udas dil ki dhadkan humse,
lagta hai unko hamari saanso ki awaz nahi aati..
Rab se aap ki khushi mangte hain
Rab se aap ki khushi mangte hain,
Duaon me aap ki hansi mangte hain,
sochte hain ki kya mange aap se…..
chalo umar bhar ki Dosti mangte hain
Har kinare ko kinara na samjo
Har kinare ko kinara na samjo
har sathi ko apna sahara na samjo
nazar nazar ka fark hota he dost
har nazar ko pyar ka ishara na samjo
Badalon Ke Darmian Kuchh aisi Sazish Hui
Badalon Ke Darmian Kuchh aisi Sazish Hui
Mera Mitti Ka Ghar Tha Wahan Hi Barish Hui
Falak Ko aadat Thi Jahan Bijlian Girane Ki
Hum Ko Bhi Zid Thi Wahan Ashiana Banane Ki
Tere bina duniya suni si lagti he
Tere bina duniya suni si lagti he,
bin tere Zindgi adhuri si lagti he,
pata Nahi kyo chahte he Hum tujko itna ke
Tuj-Bin jina b majburi lagti hai.
Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne
Ye Nahi Gam Ke Qasam Apni Bhulai Tum Ne
Gam To Ye Hai Ke Raqeebon Se Nibhai Tum Ne
Koi Ranjish Thi Ager Tum Ko To Mujh Se Kehte
Baat Apas Ki Kyun Sab Ko Batai Tum Ne
Kitna ajib meri zindag ka safar nikla
Kitna ajib meri zindag ka safar nikla,
Sare jha ka dard mera hi hmsafar nikla,
Rok diya jiske naam zindagi ka hr lamha,
Afsos wo hi meri cahat se bekhbar nikla.
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi
Yaad Kar Ke Mujhe Takleef Hi Hoti Ho Gi,
Eik Qissa Houn Purana Sa Bhula De Mujh Ko.
Doubtey Doubtey Aawaz Teri Sun Jaoun,
Akhri Baar Tu Sahil Se Sada Day Mujh ko.
Main Tere Hijar Mein Chup Chap Na Mar Jaoun Kahein,
Aa Ke Khwabo Main Tu Khud Se Mila De Mujh Ko.