Badnaseebi ka daaman mere samne bhi sharmaya hota
Zindagi mein meri bhi, khushiyon ka ujala chaaya hota
Kaash taqdeer mein meri tere pyaar ka sayaa hota
uske bin chup chup rehna acha lagta hai
uske bin chup chup rehna acha lagta hai
khamoshi se ek dard ko sehna acha lagta hai
jis hasi ki yaad me aansu baraste hai
samne uske kuch na kehna acha lagta hai
milkar usse bichad na jaye darte rehte hai
isliye bas door hi rehna acha lagta hai
jee chahe sari khushiya laker dedu usko
uske pyar me sab kuch khona acha lagta hai
uska milna na milna kismat ki baat hai
pal pal uski yaad me rona acha lagta hai
uske bina sari khushiya ajeeb lagti hai
humse mohabbato ki numayish na ho saki
bas itna jaante hai ki usse chahte rehna acha lagta hai
pyar ki khwaish me
pyar ki khwaish me ghar se nikla tha kabhi
pyar karke woh ghar bhi apna na raha
pyar me jiske luta lee thi duniya apni
ya khuda woh hamsafar bhi apna na raha
deewangi unke liye is kadar thi badi
deewangi unke liye is kadar thi badi
deewana dil bhi mera daaman chhod chalaa
kya paya is deewangi ko apna banakar
kambakht zamaana bhi hamse muh mod chalaa
dil ke tootne ke baad
dil ke tootne ke baad bhi tootey dil wale
dil ke tukdo me hi jeene ki chah dhoond lete hain
maikhano ka pataa puchhne ki jaroorat nahi
peene wale khud-ba-khud raah dhoond lete hain
aashiyana kabhi bantaa nahi
pattharon ke dher pe aashiyana kabhi bantaa nahi
ret ke teelo.n se sailaab kabhi thehrata nahi
zindgi ke us mukaam pe aa pahuncha hun main
khushiyon ka chirag jahaan kabhi jaltaa nahi
kis mukaddar ke baat karte ho tum
kis mukaddar ke baat karte ho tum
kahaan khushnaseebi saath chalaa karti hai
ranj-o-gham ka ye woh jahaan hai yaaro
jahaan sirf badnaseebi hi badnaseebi basti hai
aashiyana apna
jis daal pe socha tha banaau aashiyana apna
us darakht ko hi aaj kaat aaya hun
zindgi ne diye the jo chand lamhe khushiyon ke
usey bhi aaj gairon ki mehfil me baant aaya hun
sehraaon ki basti
sehraaon ki basti,
ik toota hua makaan hai
tanhaayee hai saathi,
bas itni meri pehchhan hai
mein to khud ki raah bhi bhool gayaa hun
mein to khud ki raah bhi bhool gayaa hun
aap manzil ki baat karte ho
meri naiya to fans gayee hai bhanwar me
aap saahil ki baat karte ho
pal do pal bhi jeena hua hai mushkil
aap kal ki baat karte ho
hamne toot-te hi dekha hai dilon ko
aap jaane kis dil ki baat karte ho