Dil ke dard ko dil torne waala kya jaane,
pyaar ke rivajo ko ye jmaana kya jaane,
hoti hai kitni takleef kabar mein,
upper se phool chadane waala kya jaane.
Vo sochte honge usko aksar,
Vo sochte honge usko aksar,
jo hamein unke salaam de jaati hai,
vo kya jaane unhein choone waali hawa bhi,
hamein unke saare paigaam de jaai hai!
Ae dil kissi ki yaad mein rona fazool hai,
ye aansoo bade anmol hain inhe khona fazool hai,
royo to unke liye jo tum par nisaar hain,
unke liye kya rona jinke aashiq hazaar hain.
Haseeno ne haseen banke gunaaah kiya,
auro ko to theek hum ko bhi tabaah kiya,
pesh kiya jab ghazalon mein un ki bewafaii ko,
auro ne to theek unhone bhi waah waah kiya.
Chehre pe ashkon ki lakeer si ban gayi,
Jo na chaaha tha vo takdeer si ban gayi,
humne to chalaayi thi reet pe ungli,
gaur se dekha to unki tasveer si ban gayi.
Muskura do jara khuda ke vaste,
sama-e-mahefil mai rosni kam hai,
tum hamare nahi to kya gum hai,
hum tumhare to hain ye kya kam hai?
Badi asaani se dil lgaaye jaate hain,
par badi mushkil se waade nibhaye jaate hain,
le jaati hai mohabbat un raaho par,
jaha diye nahi dil jlaaye jaate hain.
Phool khilte rahein zindgi ki raah mein
hassi chamakti rahe aapki nigaah mein
kadam kadam par mile khushi ki bahaar aapko
dil deta hai yehi dua baar-baar aapko
Humse door jayoge kaise,
Dil se hume bhulayoge kaise,
Hum to vo khusboo hain jo aapki saanso mein baste hain,
Khud apni saanson ko rok payo ge kaise.