Zindgi per kitab likhunga…

· Posted in , ,

Zindgi per kitab likhunga…
Us mai sarey hisab likhunga….

Pyar ko waqt guzari lik kar…..
Chahton ko azaab likhunga.. ,

Hui barbad m0habbat kaisey….
Kaisey bikhry hain khuwab likhunga…. .

Apni khwahish ka tazkra kar k….
Naam tera jawab likhunga….

Teri ankhain sharab ki manind…..
Tera chehra gulaab likhunga….

Mai tuj se judai ka sabab….
Apni kismat kharab likhunga....