· Posted in

Har muqaam pe lagta hai ke manzilein aur bhi hai,
Raasta abhi baaki hai bahut ke manzilein aur bhi hai,
Saahil se takarakar laut jaati hai har lehar
Saahil uske aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Dhal jaata hai suraj bhi har shaam
Subahe abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai
Jindagi mana humne dhadkano ki mohtaaz hai
Saanse abhi aur bhi hai ke manzilein aur bhi hai

· Posted in

Aanken band kar bhi, hum tera deedar karte hain,
Aye sanam, hum to sirf tum se pyar karte hain.
Lakh chaah kar bhi main tujhe bhula nahi sakta,
Saans rahte, teri tasvir aankhon se hataa nahi sakta.
Aakhiri pal tak o bewafaa, tujehe yaad karta hoon,
Teri yaadon ko seene mein basaa kar chalta hoon.