Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko

· Posted in


Phir kisi yaad ne, raat bhar hai jagaya mujh ko
Kiya saza di hai, mohabat ne khudaya mujh ko
Din ko aaram hai na, raat ko hai chain kabhi
Jane kis khaak se, qudrat ne banaya mujh ko
Dukh to yeh hai ke, zamane main milay ghair sabhi
Jo mila hai, woh mila ban ke, paraya mujh ko
Jab koi bhi na raha kandha, mere rone ko
Ghar ki deewaron ne, seene se lagaya mujh ko
Uoon to umeed-e-wafa, tum se nahi hai koi
Phir charaghon ki tarah, kis ne jalaya mujh ko
Bewafa zindagi nay jab chorh diya hay tanha
Maot nay piyar say pehloo main bithaya mujh ko
Woh diya hoon jo, mohabat ne jalaya tha kabhi
Gham ki andhi ne, sar-e-sham bujhaya mujh ko
Kaise bhoolau ga woh, wakt ke lamhe
Yaad aata raha, zulfon ka hi saya mujh ko.

Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya

· Posted in


Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya,
Baat Nikli Toh Har Ek Baat Pe Rona Aaya,
Hum Toh Samje The Ke Hum Bhol Gaye Hain UnKo,
Kiya Howa Aaj Ye Kis Baat Pe Rona Aaya,
Kis Liye Jeete Hai Hum Kis Ke Liye Marte Hai,
Barha Aise Sawalaat Pe Rona Aaya,
Kon Rota Hai Kisi Aur Ke Katir Ae Dost,
Sab Ko Apni Hi Kisi Baat Pe Rona Aaya,
Khabi Khud Pe Khabi Halat Pe Rona Aaya,
Baat Nikli Toh Har Ek Baat Pe Rona Aaya