Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin

Wednesday, July 4, 2012 · Posted in


Ek jazba khak hua dil ki gehrayion me kahin
ta'ajjub hai maut par uski koi roya tak nahin,
sahil se to chale the sath me hamsafar banker
sagar ne duboya hum hi ko unhe to bhigoya tak nahin,
ankhon me zinda khuwab thay ya khuwab me zinda ankhen,
tutne k bad hi jana ki unhone to sanjoya tak nahin,
naadani me jinki khatir sab lutane nikle the hum
dekho humare na rehne per bhi unka kuch khoya tak nahin.

Tum jao hum se door

· Posted in


Tum jao hum se door, tu ek kaam kar jana
kuch pal apne hamare naam kar jana
Agar aa jaey maut hamen tere aane se pehly
tu aa kar mere janaze ka ehtaram kar jana
Na rona is qadar ki takleef ho hamen
maut ko bhi mazaq samaj kar anjaan ban jana
Main ek din so jaongi sada ki liye
phir muje bewafa keh ke badnaam kar jana
Jo guzaro meri qabar se tu nazren na pherna
mehman he ban ke dua salam kar jana...

mat kar intezar is janam main

· Posted in


Mujhse kaha khudane matkar intezar is janmme
uska milna mushkil hai,

maine bhi keh diya lene de maza intzar ka
agle janam me to mumkin hai,

fir usne kaha matkar itna pyar bahot pachtaega,

muskura ke maine kaha dekhte he tu kitna meri ruh ko tadpayega,

fir usne kaha hata use chal tujhe jannat ki nur se milata hu,

maine kaha aa niche dekh mere pyar ka muskurata chehra tujhe jannat ki nur bhulata hu,

tilmila kar kaha usne mat bhool apni aukat tu to hai ek insan,

maine kaha to mila de mujhe mere pyar se or sabit kar ki tu hai bhagwan.

Meri hasrat ke janaze ko uthane wale

· Posted in


Meri hasrat ke janaze ko uthane wale,
kitne bedard hain yeh loag zamaney wale,

koi apna nahi matlab ki hai yeh duniya sari,
ab kahan milti hain woh yar purane wale,

main dua go hon sada nendain mubarik tum ko,
hijar ka dard dey ke mujko jaganey wale,

bus yeh he soch kar har bar manata hon usey,
loat ke aate hain kahan rooth ke jane wale,

un ki dil main kabhi jhank kar dekho to sahi Saqi,
kitny afsurda hain auron ko hansany waly..