Ek pal mein jo aa kar gujar jaaye
yeh hawa ka woh jhoka hai ..aur kuch nahi
Pyar kehti hai duniya jise,
ek rangeen dhokha hai .. aur kuch nahi.. !!!
dua o ki bhid me ek duva hamari
dua o ki bhid me ek duva hamari
jisme mangi hamne har khusi tumhari
jab bhi muskaraye aap dil se
samjo duva kubul hui hamari.
Toot jaate hai sabhi rishte magar
Toot jaate hai sabhi rishte magar,
Dil se dil ka raabta apni jagah,
Dilko tujh se na milne ka yaqeen,
Tujh se milne ki dua apni jagah.....
Pyar aur dosti me itna fark paya hai
Pyar aur dosti me itna fark paya hai,
pyar ne sahara diya,
dost ne saath nibhaya hai,
kis rishte ko gehra kahu yaro
ek ne zindagi to dusre ne jina sikhaya hai......
jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga
jis waqt khuda ne tumhe banaya hoga
ek junun sa us par chaya hoga
pehle socha hoga khud rakh lu
fir hamara khayal aaya hoga.
Aasma k tare aksar puchte hai humse
Aasma k tare aksar puchte hai humse,
kya tumhe aj b intzar hai uske laut ane ka
or ye dil muskura k kehta hai,
mujhe to ab tak yakin na hua uske ruth jane ka
Ankho me Aakar Ruk Jate Hai Ansu
Ankho me Aakar Ruk Jate Hai Ansu,
Palko pe Aakar Ruk Jate Hai Ansu,
Dil to Karta Hai Bah Jane Du,
Magar Apko Hasta Dekh Sukh Jate Hai Ansu.
Zindagi mein jeena zaroori nahi
Zindagi mein jeena zaroori nahi,
Jeene ka andaaz zaroori hai,
Zindagi mein chahe lakh gham ho,
Lekin chehre pe muskaan zaroori hai.
Jis ke deedar ke liye har pal tadapta hai
Jis ke deedar ke liye har pal tadapta hai,
jis ke intezar mein har pal tarasta hai,
kya kahe is kambakth dil ko.....
jo apna hokar bhi kisi aur ke liya dhadkta hai.
Qalam Dil Mein Dubota Hoon
Qalam Dil Mein Dubota Hoon Chund Lafzon Ko Likhta Hoon
Jo Batein Dilpe Lagti Hain Unhi Baton Ko Likhta Hoon
Mein Shayir Hoon Meri Veeraniyan Jab Hadd Se Barhti Hain
Ussi Lamhe Dhunwan Uthta Hai Aur Aahon Ko Likhta Hoon
Mein Lafzon Ko Nahi Ehsas Ko Tehreer Karta Hoon
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Bhari mehfil main tanha rehna acha lagta hai
Terey barey main sochtey rehna acha lagta hai .
Kabhi phulon main ,kabhi kaliyon main
Tujh ko hi dhundtey rehna acha lagta hai
Meree zindagi ki khushiyan tumhee say hain wabasta
Rab say sirf tumhein hi mangna acha lagta hai.
Bada armaan tha tere sang zindagi bitane ka
Bada armaan tha tere sang zindagi bitane ka,
shikwa hai to bas tere khamoos rahe jane ka,
deewangi isse badhkar kya hogi ,
ke aaj bhi intezar hai tere aane ka.
Lafz Ki Tarah Muje Kitabo Me Milna
Lafz Ki Tarah Muje Kitabo Me Milna
Banke Mehak Muje Gulabo Me Milna
Jab B Muje Apki Yaad Aye To
Banke Aanshu Muje Meri Aankho Me Milna
Kya kahen ki kuch kaha nahi jata
Kya kahen ki kuch kaha nahi jata,
meetha sa dard hai jo saha nahi jata,
rishta ban gya hai is kadar aap se,
ki bina aapko yaad kiye raha nhi jata.
Rat gehri hai darr bhi saktey hain
Rat gehri hai darr bhi saktey hain,
hum jo kehtey hain kar bhi saktey hain,
aap jo roothey to yeh bhi na soocha,
hum to pagal hain mar bhi saktey hain.. !!
Nafrato ko Hum Pyar dete he
NaFrato ko Hum Pyar dete he
Pyar pe khusi Waar dete he
Bahut soch Samajh kar koi wada karna Humse
JANAM Hum Ek wade pe Zindagi Guzaar dete He.
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Benaam Sa Ye Dard, Thehar Kyon Nahi Jata
Jo Beet Gaya Hai, Woh Guzar Kyon Nahi Jata
Sab Kuch To Hai, Kya Dhundti Rehti Hai Nigaahein
Kya Baat Hai, Mai Waqt Pe Ghar Kyon Nahi Jata
Woh Ek Hi Chera To, Nahi Sare Jahan Mein
Jo Door Hai Woh Dil Se Utar Kyon Nahi Jata
Main Apni Hi Uljhi Hui, Raho Ka Tamasha
Jate Hain Jidhar Sab, Main Udhar Kyon Nahi Jata
Woh Naam Jo Na Jane Kab Se, Na Chehra Na Badan Hai
Woh Khawaab Agar Hai To Bikhar Kyo Nahi Jata???????
Sab Kuch Hai Mere Pass
Sab Kuch Hai Mere Pass,Par Dil Ki Dawa Nahi,
Door Wo Mujhse Hai,Par Main Khafa Nahi,
Malum Hai Ab Bhi Chahti Hai Woh Mujhe,
Thodi Si Ziddi Hai Par Wo Bewaffa Nahi.
Waqt ki Dhoop ho ya tez barish
Waqt ki Dhoop ho ya tez barish,
Kuch kadamon k nishan nahi khote,
Jinhe yaad kar k Khush hoti hai Aankhe,
Wo log dur hokar bhi dur nahi hote..!!!
Dur reh kar bhi teri fariyad karte hain.
Dur reh kar bhi teri fariyad karte hain.
Apni tanhayi se teri baat karte hain.
Tu bhul ja ya khuf-ae-badnami se ho juda.
Har ghari har pal tujhi ko yaad karte hain.